
03-19-2008, 10:47 AM
|
|
Inspecter saab
|
|
Join Date: Sep 2007
Posts: 681

= 0 For This Post / 0 Total
|
|
|
Tum Mujhay Bhula Daina...
Toot kar zara daikho
Tum agar bikhar jao
Bebasi mein ghir jao
Dil se ik sada daina
Bus mujhay bhula laina
Main tumhein sumbhalon ga
Zindagi mein chalnay ka
Raasta badalnay ka
Ik hunar sikha doon ga
Tum ko hosla doon ga
Or jab sambhal jao
Roshni mein dhal jao
Tou mujh ko yun sila daina
Tum mujhay bhula daina ....
|