
11-13-2007, 09:24 AM
|
|
Inspecter saab
|
|
Join Date: Sep 2007
Posts: 681

= 0 For This Post / 0 Total
|
|
|
Tum Say Kuch Nahi Kehna...
Hum nay sooch rakha hai
Chahay Dil ki har khawahish
Zindagi ki aankhon say
Ashk (aanso) ban k beh jaye
Garh ki saari deevarein(walls)
Chhat(roof) sameet gir jayein
Aur bay muqadar hum
Is badan k malbay mein
Khud he kyun na dab jayein
Tum say kuch nahi kehna
Kaisi neend thee apni
Kaisay khawab thay apnay
Aur ab gulabon par
Neend waali aankhon par
Narm khu say khawabon par
Kyun azaab totay hain
Tum say kuch nahi kehna
Girh gaye hain raaton mein
Be lebaas baaton mein
Is tarah ki raaton mein
Kab charagh jaltay hain
Kab azaab taltay hain
Ab to in azaabon say
Bach k bhi nikalnay ka
Raasta nahi jaana
Jis tarah tum ko bhi
Lazawal lamhon say
Waasta nahi jaana!
Hum nay sooch rakha hai
Tum say kuch nahi kehna ...
Noshi Gillani
|